nigaah-e-shauq ko jab tera naqsh-e-paa na mila | निगाह-ए-शौक़ को जब तेरा नक़्श-ए-पा न मिला

  - Amanullah Khalid

nigaah-e-shauq ko jab tera naqsh-e-paa na mila
mujhe bhi husn-e-haqeeqat ka aaina na mila

jise bhi dekho wahi ajnabi sa lagta hai
tumhaare shehar mein koi bhi aashna na mila

hudoode-dair-o-kaleesa mein khaanqaahon mein
bahut talash kiya ham ko paarsa na mila

tadpate rah gaye din mein bhi raushni ke liye
charaagh bechne waalon ko mash'ala na mila

hamaare dars pe ghairoon ne pa liya saahil
hamaare apne safeene ko nakhuda na mila

sukoon milega unhen kis ke aastaane par
vo ahl-e-dard jinhen tera aasraa na mila

mata-e-dil vo meri lootne chala tha magar
ye aur baat ki rehzan ko hausla na mila

meri wafaon pe ilzaam to bahut aaye
meri wafaon ka mujh ko magar sila na mila

wafa ke tazkire ham ne bahut sune khaalid
magar jahaan mein koi ham ko ba-wafa na mila

निगाह-ए-शौक़ को जब तेरा नक़्श-ए-पा न मिला
मुझे भी हुस्न-ए-हक़ीक़त का आइना न मिला

जिसे भी देखो वही अजनबी सा लगता है
तुम्हारे शहर में कोई भी आश्ना न मिला

हदूद-ए-दैर-ओ-किलीसा में ख़ानक़ाहों में
बहुत तलाश किया हम को पारसा न मिला

तड़पते रह गए दिन में भी रौशनी के लिए
चराग़ बेचने वालों को मश'अला न मिला

हमारे दर्स पे ग़ैरों ने पा लिया साहिल
हमारे अपने सफ़ीने को नाख़ुदा न मिला

सुकूँ मिलेगा उन्हें किस के आस्ताने पर
वो अहल-ए-दर्द जिन्हें तेरा आसरा न मिला

मता-ए-दिल वो मिरी लूटने चला था मगर
ये और बात कि रहज़न को हौसला न मिला

मिरी वफ़ाओं पे इल्ज़ाम तो बहुत आए
मिरी वफ़ाओं का मुझ को मगर सिला न मिला

वफ़ा के तज़्किरे हम ने बहुत सुने 'ख़ालिद'
मगर जहाँ में कोई हम को बा-वफ़ा न मिला

  - Amanullah Khalid

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amanullah Khalid

As you were reading Shayari by Amanullah Khalid

Similar Writers

our suggestion based on Amanullah Khalid

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari