jab koi raasta nahin hota
kaun mahv-e-dua nahin hota
log zulmat se yun hi naalaan hain
roz-e-raushan mein kya nahin hota
toote taaron ko choo ke dekha hai
saaz-e-dil be-sada nahin hota
har khushi dil se kyun laga baitheen
kis mein gham ho pata nahin hota
aao mil baith lo ghadi-do-ghadi
us ghadi ka pata nahin hota
sard-mehri hamaari aadat hai
warna zarre mein kya nahin hota
phir wahi shab wahi taveel safar
khatm ye silsila nahin hota
जब कोई रास्ता नहीं होता
कौन महव-ए-दुआ नहीं होता
लोग ज़ुल्मत से यूँ ही नालाँ हैं
रोज़-ए-रौशन में क्या नहीं होता
टूटे तारों को छू के देखा है
साज़-ए-दिल बे-सदा नहीं होता
हर ख़ुशी दिल से क्यूँ लगा बैठें
किस में ग़म हो पता नहीं होता
आओ मिल बैठ लो घड़ी-दो-घड़ी
उस घड़ी का पता नहीं होता
सर्द-मेहरी हमारी आदत है
वर्ना ज़र्रे में क्या नहीं होता
फिर वही शब वही तवील सफ़र
ख़त्म ये सिलसिला नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amar Singh Figar
our suggestion based on Amar Singh Figar
As you were reading Aadat Shayari Shayari