phir koi mushkil jawaan hone ko hai
doston ka imtihaan hone ko hai
jhonke dam saadhe khade hain chaar-soo
koi hangaama yahan hone ko hai
bheeg jaane par bhi jo bujhta na tha
aaj vo shola dhuaan hone ko hai
ye bahaarein aur gul boote nidhaal
fasl-e-gul daur-e-khizaan hone ko hai
zindagi se kijie ummeed kya
zindagi khud raayegaan hone ko hai
zabt ka had se guzarna dekhiye
raaz aankhon se bayaan hone ko hai
manzil-e-maqsood jab aayi nazar
raahbar sang-e-garaan hone ko hai
फिर कोई मुश्किल जवाँ होने को है
दोस्तों का इम्तिहाँ होने को है
झोंके दम साधे खड़े हैं चार-सू
कोई हंगामा यहाँ होने को है
भीग जाने पर भी जो बुझता न था
आज वो शो'ला धुआँ होने को है
ये बहारें और गुल बूटे निढाल
फ़स्ल-ए-गुल दौर-ए-ख़िज़ाँ होने को है
ज़िंदगी से कीजिए उम्मीद क्या
ज़िंदगी ख़ुद राएगाँ होने को है
ज़ब्त का हद से गुज़रना देखिए
राज़ आँखों से बयाँ होने को है
मंज़िल-ए-मक़्सूद जब आई नज़र
राहबर संग-ए-गराँ होने को है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amar Singh Figar
our suggestion based on Amar Singh Figar
As you were reading Jawani Shayari Shayari