na vo jazbaat ki lahren na ehsaasaat ka dariya | न वो जज़्बात की लहरें न एहसासात का दरिया

  - Amar Singh Figar

na vo jazbaat ki lahren na ehsaasaat ka dariya
liye firta hoon aankhon mein ajab khudshaat ka dariya

machalti shokh maujon ko main apne naam kyun likkhoon
ki aakhir khushk hoga mausam-e-barsaat ka dariya

kise ma'aloom ye kashti lage kis ghaat par ja kar
baha le jaaye kya jaane kidhar haalaat ka dariya

kahaan is aankh ka jugnoo ki chamke bhi to chhupne ko
kahaan ham bekason ki baatini zulmaat ka dariya

hawaaein chup khala veeraan fazaa gamgeen safar mushkil
ravaan hadd-e-nazar tak jabr ke lamhaat ka dariya

zabaan ki khaamoshi taqreer ko dafna nahin sakti
nahin rukta figaar alfaaz-o-takhleeqaat ka dariya

न वो जज़्बात की लहरें न एहसासात का दरिया
लिए फिरता हूँ आँखों में अजब ख़दशात का दरिया

मचलती शोख़ मौजों को मैं अपने नाम क्यूँ लिक्खूँ
कि आख़िर ख़ुश्क होगा मौसम-ए-बरसात का दरिया

किसे मा'लूम ये कश्ती लगे किस घाट पर जा कर
बहा ले जाए क्या जाने किधर हालात का दरिया

कहाँ इस आँख का जुगनू कि चमके भी तो छुपने को
कहाँ हम बेकसों की बातिनी ज़ुल्मात का दरिया

हवाएँ चुप ख़ला वीराँ फ़ज़ा ग़मगीं सफ़र मुश्किल
रवाँ हद्द-ए-नज़र तक जब्र के लम्हात का दरिया

ज़बाँ की ख़ामुशी तक़रीर को दफ़ना नहीं सकती
नहीं रुकता 'फ़िगार' अलफ़ाज़-ओ-तख़लीक़ात का दरिया

  - Amar Singh Figar

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amar Singh Figar

As you were reading Shayari by Amar Singh Figar

Similar Writers

our suggestion based on Amar Singh Figar

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari