kal ek shakhs jo achhe-bhale libaas mein tha
barhana aaj vo utara hua gilaas mein tha
ham aftaab-e-darakhshan jise samjhte the
vo ek vaham ka jugnoo havas ki ghaas mein tha
zameen-o-arsh ki taqseem ke zamaane mein
bashar aseer-e-junoon tha kahaan hawas mein tha
azal se pehle hi dhun thi husool-e-paikar ki
ye kaayenaat ka khaaka mere qayaas mein tha
main kya sulagte samundar se maangata paani
vo khud bhi ek zamaane se ghark pyaas mein tha
use naseeb kafan bhi nahin hua aakhir
ki hisse-daar jo us khet ki kapaas mein tha
ham us sawaal ka ab tak jawaab de na sake
jo ik figaar ki pur-ashk chashm-e-yaas mein tha
कल एक शख़्स जो अच्छे-भले लिबास में था
बरहना आज वो उतरा हुआ गिलास में था
हम आफ़्ताब-ए-दरख़्शाँ जिसे समझते थे
वो एक वहम का जुगनू हवस की घास में था
ज़मीन-ओ-अर्श की तक़्सीम के ज़माने में
बशर असीर-ए-जुनूँ था कहाँ हवास में था
अज़ल से पहले ही धुन थी हुसूल-ए-पैकर की
ये काएनात का ख़ाका मिरे क़यास में था
मैं क्या सुलगते समुंदर से माँगता पानी
वो ख़ुद भी एक ज़माने से ग़र्क़ प्यास में था
उसे नसीब कफ़न भी नहीं हुआ आख़िर
कि हिस्से-दार जो उस खेत की कपास में था
हम उस सवाल का अब तक जवाब दे न सके
जो इक 'फ़िगार' की पुर-अश्क चश्म-ए-यास में था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amar Singh Figar
our suggestion based on Amar Singh Figar
As you were reading Kismat Shayari Shayari