jab mere shehar ki har shaam ne dekha us ko
kyun na phir mere dar-o-baam ne dekha us ko
harf-dar-harf mere dil mein utar aaya hai
mujh se pehle mere ilhaam ne dekha us ko
meri aankhon ne to ik baar hi manzar dekha
phir har ik lamha-e-dushnaam ne dekha us ko
din dhale khwaab dariche mein utar aata hai
jab bhi dekha hai yahan shaam ne dekha us ko
jaane kis khwaab ki hairat ne jagaae rakha
phir meri hasrat-e-naakaam ne dekha us ko
जब मिरे शहर की हर शाम ने देखा उस को
क्यूँ न फिर मेरे दर-ओ-बाम ने देखा उस को
हर्फ़-दर-हर्फ़ मिरे दिल में उतर आया है
मुझ से पहले मिरे इल्हाम ने देखा उस को
मेरी आँखों ने तो इक बार ही मंज़र देखा
फिर हर इक लम्हा-ए-दुश्नाम ने देखा उस को
दिन ढले ख़्वाब दरीचे में उतर आता है
जब भी देखा है यहाँ शाम ने देखा उस को
जाने किस ख़्वाब की हैरत ने जगाए रक्खा
फिर मिरी हसरत-ए-नाकाम ने देखा उस को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambarin Salahuddin
our suggestion based on Ambarin Salahuddin
As you were reading Nazara Shayari Shayari