bhanwar mein pair the aur aankh ik sitaare par
uljh rahi thi nazar doosre kinaare par
takaan odh to len ham nayi masafat ki
taraash den na hawaaein kahi hamaare par
na-jaane seher tha kaisa kisi ki aankhon mein
ham apne ghar se nikal aaye ik ishaare par
zameen pe phir koi jaa-e-amaan mil na saki
mujhe kisi ne bulaaya tha ik sitaare par
gumaan ke aakhiri pal mein yaqeen mila hai vo
humeen yahan hain humeen doosre kinaare par
भँवर में पैर थे और आँख इक सितारे पर
उलझ रही थी नज़र दूसरे किनारे पर
तकान ओढ़ तो लें हम नई मसाफ़त की
तराश दें न हवाएँ कहीं हमारे पर
न-जाने सेहर था कैसा किसी की आँखों में
हम अपने घर से निकल आए इक इशारे पर
ज़मीं पे फिर कोई जा-ए-अमान मिल न सकी
मुझे किसी ने बुलाया था इक सितारे पर
गुमाँ के आख़िरी पल में यक़ीं मिला है वो
हमीं यहाँ हैं हमीं दूसरे किनारे पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambarin Salahuddin
our suggestion based on Ambarin Salahuddin
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari