chaand ubharega to phir hashr dikhaai dega
shab ki pahnaai mein har aks duhaai dega
mere chehre pe kisi aur ki aankhen hongi
phir kahaan kis ko kisi or sujhaai dega
aap ne aankh mein jo khwaab saja rakhe hain
un ko taabeer mera dasht-e-hinaai dega
meri hairat meri vehshat ka pata poochhti hai
dekhiye kaun kise pehle rasai dega
jis ne kaanon pe bitha rakhe hain dar ke pahre
is ko kab shabd mera koi sunaai dega
चाँद उभरेगा तो फिर हश्र दिखाई देगा
शब की पहनाई में हर अक्स दुहाई देगा
मेरे चेहरे पे किसी और की आँखें होंगी
फिर कहाँ किस को किसी ओर सुझाई देगा
आप ने आँख में जो ख़्वाब सजा रक्खे हैं
उन को ताबीर मिरा दस्त-ए-हिनाई देगा
मेरी हैरत मिरी वहशत का पता पूछती है
देखिए कौन किसे पहले रसाई देगा
जिस ने कानों पे बिठा रक्खे हैं डर के पहरे
इस को कब शब्द मिरा कोई सुनाई देगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambarin Salahuddin
our suggestion based on Ambarin Salahuddin
As you were reading Wahshat Shayari Shayari