rasta rokti khaamoshi ne kaun si baat sunaani hai
raat ki aankhen jaan rahi hain kis ke paas kahaani hai
aankh ne vehshat odhi hai ya manzar mein hairaani hai
dasht ne daaman jhaad ke poocha ab kaisi veeraani hai
manzar hai khidki ke andar ya hai khidki se baahar
gardoon ki giraai hai ya khaak ne chadar taani hai
kaunde se lapke padte hain chutki bhar neelaahat se
taaron mein manzar khulne se pehle ki hairaani hai
saare sang-e-meel bhi manzil ho sakte hain bhed khula
haathon ki rekhaon mein har manzil ek nishaani hai
aap kahein to teen zamaane ek hi lehar mein bah niklen
aap kahein to saari baaton mein aisi aasaani hai
roz-o-shab ke bandhan khol ke waqt ka dariya chal nikle
aap kahein to danaai hai ham kah den nadaani hai
raat ki chadar tah hone tak dhoop ka jaadu khulne tak
darwaaze ke band kiwaadon se ik baat chhupani hai
jitne pul tak raqs karengi kirnen barf ki qaashon par
kohsaaron ke daaman mein bhi tab tak ek kahaani hai
रस्ता रोकती ख़ामोशी ने कौन सी बात सुनानी है
रात की आँखें जान रही हैं किस के पास कहानी है
आँख ने वहशत ओढ़ी है या मंज़र में हैरानी है
दश्त ने दामन झाड़ के पूछा अब कैसी वीरानी है
मंज़र है खिड़की के अंदर या है खिड़की से बाहर
गर्दूं की गीराई है या ख़ाक ने चादर तानी है
कौंदे से लपके पड़ते हैं चुटकी भर नीलाहट से
तारों में मंज़र खुलने से पहले की हैरानी है
सारे संग-ए-मील भी मंज़िल हो सकते हैं भेद खुला
हाथों की रेखाओं में हर मंज़िल एक निशानी है
आप कहें तो तीन ज़माने एक ही लहर में बह निकलें
आप कहें तो सारी बातों में ऐसी आसानी है
रोज़-ओ-शब के बंधन खोल के वक़्त का दरिया चल निकले
आप कहें तो दानाई है हम कह दें नादानी है
रात की चादर तह होने तक धूप का जादू खुलने तक
दरवाज़े के बंद किवाड़ों से इक बात छुपानी है
जितने पुल तक रक़्स करेंगी किरनें बर्फ़ की क़ाशों पर
कोहसारों के दामन में भी तब तक एक कहानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambarin Salahuddin
our suggestion based on Ambarin Salahuddin
As you were reading Nazara Shayari Shayari