meri aankhon mein manzar dhul raha tha
sar-e-mizgaan sitaara ghul raha tha
bahut se lafz dastak de rahe the
sukoot-e-shab mein rasta khul raha tha
jo ugla waqt ke aatish-fishaan ne
vo lamha khaak mein phir rul raha tha
hua tha qurmuzi paani jahaan se
wahan kal shaam tak ik pul raha tha
tumhaare naam se aage ka rasta
ajal ki aahaton mein khul raha tha
मिरी आँखों में मंज़र धुल रहा था
सर-ए-मिज़्गाँ सितारा घुल रहा था
बहुत से लफ़्ज़ दस्तक दे रहे थे
सुकूत-ए-शब में रस्ता खुल रहा था
जो उगला वक़्त के आतिश-फ़िशाँ ने
वो लम्हा ख़ाक में फिर रुल रहा था
हुआ था क़ुर्मुज़ी पानी जहाँ से
वहाँ कल शाम तक इक पुल रहा था
तुम्हारे नाम से आगे का रस्ता
अजल की आहटों में खुल रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambarin Salahuddin
our suggestion based on Ambarin Salahuddin
As you were reading Shaam Shayari Shayari