aseer-e-khwaab nayi justuju ke dar khole
hawa pe haath rakhen aur apne par khole
samete apne saraabo mein baarishon ka jamaal
kahaan ka qasd hai ye raaz khush-nazar khole
use bhulaane ki phir se karein nayi saazish
chalo ki aaj koi naama-e-deegar khole
uljhti jaati hain girhen adhoore lafzon ki
ham apni baaton ke saare agar magar khole
jo khwaab dekhna taabeer khojna ho kabhi
to pehle raat ke lipate hue bhanwar khole
ik eent saamne deewaar se nikaalen ab
chalo ki phir se naya koi dard-e-sar khole
असीर-ए-ख़्वाब नई जुस्तुजू के दर खोलें
हवा पे हाथ रखें और अपने पर खोलें
समेटे अपने सराबों में बारिशों का जमाल
कहाँ का क़स्द है ये राज़ ख़ुश-नज़र खोलें
उसे भुलाने की फिर से करें नई साज़िश
चलो कि आज कोई नामा-ए-दीगर खोलें
उलझती जाती हैं गिर्हें अधूरे लफ़्ज़ों की
हम अपनी बातों के सारे अगर मगर खोलें
जो ख़्वाब देखना ताबीर खोजना हो कभी
तो पहले रात के लिपटे हुए भँवर खोलें
इक ईंट सामने दीवार से निकालें अब
चलो कि फिर से नया कोई दर्द-ए-सर खोलें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambarin Salahuddin
our suggestion based on Ambarin Salahuddin
As you were reading Terrorism Shayari Shayari