koi ehsaas mukammal nahin rahne deta
dard ka saath musalsal nahin rahne deta
hosh ki sard nigaahon se take jaata hai
kaun hai jo mujhe paagal nahin rahne deta
waqt toofaan-e-bala-khez ke girdaab mein hai
sar pe mere mera aanchal nahin rahne deta
haath failaaun to choo leta hai jhonke ki tarah
ek pal bhi mujhe be-kal nahin rahne deta
khwaab ke taq pe rakhi hain ye aankhen kab se
vo meri neend mukammal nahin rahne deta
mere is shehar mein ik aaina aisa hai ki jo
mujh ko us shakhs se ojhal nahin rahne deta
कोई एहसास मुकम्मल नहीं रहने देता
दर्द का साथ मुसलसल नहीं रहने देता
होश की सर्द निगाहों से तके जाता है
कौन है जो मुझे पागल नहीं रहने देता
वक़्त तूफ़ान-ए-बला-ख़ेज़ के गिर्दाब में है
सर पे मेरे मिरा आँचल नहीं रहने देता
हाथ फैलाऊँ तो छू लेता है झोंके की तरह
एक पल भी मुझे बे-कल नहीं रहने देता
ख़्वाब के ताक़ पे रक्खी हैं ये आँखें कब से
वो मिरी नींद मुकम्मल नहीं रहने देता
मेरे इस शहर में इक आइना ऐसा है कि जो
मुझ को उस शख़्स से ओझल नहीं रहने देता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambarin Salahuddin
our suggestion based on Ambarin Salahuddin
As you were reading Waqt Shayari Shayari