raushni le ke kahi chaand kahi taaron se | रौशनी ले के कहीं चाँद कहीं तारों से

  - Ameer Ahmad Khusro

raushni le ke kahi chaand kahi taaron se
ham bhi guzre the kabhi waqt ke bazaaron se

zindagi tujh se tire gham se to inkaar nahin
haan magar lazzat-e-gham chin gai gham-khwaron se

azmat-e-rafta ki mitati hui tasveer hain ham
ham ko latkaaiye girti hui deewaron se

is se pehle ki chhide zikr-e-wafa pyaar ki baat
mashwara kar lo zara waqt ki sarkaron se

chaand jis waqt utar aata hai paimaanon mein
may-kade baat kiya karte hain may-khwaaron se

ham ko be-daam bhi bik jaane ka fan aata hai
baat kehne ki nahin hai ye khareedaron se

wahi tanhaai ki baatein hain wahi zaat ke gham
mujh ko shikwa hai mere door ke fankaaron se

abr-e-rahmat ko liye apni nazar mein khusarav
ham bhi to dasht se guzre kabhi kohsaaron se

रौशनी ले के कहीं चाँद कहीं तारों से
हम भी गुज़रे थे कभी वक़्त के बाज़ारों से

ज़िंदगी तुझ से तिरे ग़म से तो इंकार नहीं
हाँ मगर लज़्ज़त-ए-ग़म छिन गई ग़म-ख़्वारों से

अज़्मत-ए-रफ़्ता की मिटती हुई तस्वीर हैं हम
हम को लटकाइए गिरती हुई दीवारों से

इस से पहले कि छिड़े ज़िक्र-ए-वफ़ा प्यार की बात
मशवरा कर लो ज़रा वक़्त की सरकारों से

चाँद जिस वक़्त उतर आता है पैमानों में
मय-कदे बात किया करते हैं मय-ख़्वारों से

हम को बे-दाम भी बिक जाने का फ़न आता है
बात कहने की नहीं है ये ख़रीदारों से

वही तन्हाई की बातें हैं वही ज़ात के ग़म
मुझ को शिकवा है मिरे दूर के फ़नकारों से

अब्र-ए-रहमत को लिए अपनी नज़र में 'ख़ुसरव'
हम भी तो दश्त से गुज़रे कभी कोहसारों से

  - Ameer Ahmad Khusro

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari