dil ko har haal mein masroof-e-dua rakha hai | दिल को हर हाल में मसरूफ़-ए-दुआ रक्खा है

  - Ameer Ahmad Khusro

dil ko har haal mein masroof-e-dua rakha hai
main ne ye jurm bhi apne pe rawa rakha hai

meri har saans rasoolon ki zabaan hai jaise
main ne har saans mein ik harf-e-wafaa rakha hai

aap to garmi-e-haalat se ghabraate hain
ham ne suraj ko bhi seene mein chhupa rakha hai

aagahi garm-e-safar hai nayi manzil ki taraf
chaand ka zikr hi kya chaand mein kya rakha hai

ham ki haalaat ki tasveer bataane waale
ham ko haalaat ne tasveer bana rakha hai

zindagi se kaho ab koi taqaza na kare
main ne har gham ko kaleje se laga rakha hai

jis jagah qaafila-e-dard ruka tha khusarav
dard-mandon ne wahin shehar basa rakha hai

दिल को हर हाल में मसरूफ़-ए-दुआ रक्खा है
मैं ने ये जुर्म भी अपने पे रवा रक्खा है

मेरी हर साँस रसूलों की ज़बाँ है जैसे
मैं ने हर साँस में इक हर्फ़-ए-वफ़ा रक्खा है

आप तो गर्मी-ए-हालात से घबराते हैं
हम ने सूरज को भी सीने में छुपा रक्खा है

आगही गर्म-ए-सफ़र है नई मंज़िल की तरफ़
चाँद का ज़िक्र ही क्या चाँद में क्या रक्खा है

हम कि हालात की तस्वीर बताने वाले
हम को हालात ने तस्वीर बना रक्खा है

ज़िंदगी से कहो अब कोई तक़ाज़ा न करे
मैं ने हर ग़म को कलेजे से लगा रक्खा है

जिस जगह क़ाफ़िला-ए-दर्द रुका था 'ख़ुसरव'
दर्द-मंदों ने वहीं शहर बसा रक्खा है

  - Ameer Ahmad Khusro

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari