subh aati hai masarrat ke payaamaat liye | सुब्ह आती है मसर्रत के पयामात लिए

  - Ameer Ahmad Khusro

subh aati hai masarrat ke payaamaat liye
zindagaani ke mehakte hue naghmaat liye

shaam ke dosh pe lehraata hai rangeen aanchal
shab ki aaghosh mein khilta hai gulistaan-e-ghazal

is liye meer ki ghalib ki ghazal kahte hain
shehar ko mere sabhi taaj-mahal kahte hain

sochta hoon naye maahol mein kya baat hui
muddaton ba'ad sehar aayi to kyun raat hui

pyaar ke shehar mein nafrat ki hawaaein kyun hain
har taraf bugz-o-adaavat ki sadaaein kyun hain

सुब्ह आती है मसर्रत के पयामात लिए
ज़िंदगानी के महकते हुए नग़्मात लिए

शाम के दोश पे लहराता है रंगीं आँचल
शब की आग़ोश में खिलता है गुलिस्तान-ए-ग़ज़ल

इस लिए 'मीर' की 'ग़ालिब' की ग़ज़ल कहते हैं
शहर को मेरे सभी ताज-महल कहते हैं

सोचता हूँ नए माहौल में क्या बात हुई
मुद्दतों बा'द सहर आई तो क्यों रात हुई

प्यार के शहर में नफ़रत की हवाएँ क्यों हैं
हर तरफ़ बुग़्ज़-ओ-अदावत की सदाएँ क्यों हैं

  - Ameer Ahmad Khusro

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari