is daur se khuloos mohabbat wafa na maang
sehra se koi saaya koi aasraa na maang
patton ke qahqahon mein sada-e-buka na dhundh
jungle mein rah ke shehar ki aab-o-hawa na maang
samjhauta kar ke waqt se chup-chaap baith ja
qaateel se zindagi ke abhi khoon-bahaa na maang
apne khuda se silsila-e-guftugu na tod
ho jaaye jo qubool to aisi dua na maang
ja apni laash ko kahi jungle mein fenk aa
is shehar ke ameer se daad-e-wafa na maang
khusarav safeer-e-waqt se gham ka mizaaj pooch
maazi ki azmaton ka khushi ka pata na maang
इस दौर से ख़ुलूस मोहब्बत वफ़ा न माँग
सहरा से कोई साया कोई आसरा न माँग
पत्तों के क़हक़हों में सदा-ए-बुका न ढूँड
जंगल में रह के शहर की आब-ओ-हवा न माँग
समझौता कर के वक़्त से चुप-चाप बैठ जा
क़ातिल से ज़िंदगी के अभी ख़ूँ-बहा न माँग
अपने ख़ुदा से सिलसिला-ए-गुफ़्तुगू न तोड़
हो जाए जो क़ुबूल तो ऐसी दुआ न माँग
जा अपनी लाश को कहीं जंगल में फेंक आ
इस शहर के अमीर से दाद-ए-वफ़ा न माँग
'ख़ुसरव' सफ़ीर-ए-वक़्त से ग़म का मिज़ाज पूछ
माज़ी की अज़्मतों का ख़ुशी का पता न माँग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro
our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro
As you were reading Birthday Shayari Shayari