chaar-soo shehar mein maqtal ka samaan hai ab ke
apne saaye pe bhi qaateel ka gumaan hai ab ke
jo kabhi shehar mein khursheed-b-kaf bharta tha
koi batlaaye ki vo shakhs kahaan hai ab ke
kahkashaan lafzon ki honton pe bikharna deeje
door tak zehan ki galiyon mein dhuaan hai ab ke
log aankhon mein naye khwaab liye firte hain
kuchh na hone pe bhi hone ka gumaan hai ab ke
mere maazi ne mujhe yaad kiya hai shaayad
ik khalish hai ki qareeb-e-rag-e-jaan hai ab ke
waqt kya waqt se ummeed-e-karam kya khusarav
waqt haalaat ka khud marsiyaan-khwaan hai ab ke
चार-सू शहर में मक़्तल का समाँ है अब के
अपने साए पे भी क़ातिल का गुमाँ है अब के
जो कभी शहर में ख़ुर्शीद-ब-कफ़ भरता था
कोई बतलाए कि वो शख़्स कहाँ है अब के
कहकशाँ लफ़्ज़ों की होंटों पे बिखरने दीजे
दूर तक ज़ेहन की गलियों में धुआँ है अब के
लोग आँखों में नए ख़्वाब लिए फिरते हैं
कुछ न होने पे भी होने का गुमाँ है अब के
मेरे माज़ी ने मुझे याद किया है शायद
इक ख़लिश है कि क़रीब-ए-रग-ए-जाँ है अब के
वक़्त क्या वक़्त से उम्मीद-ए-करम क्या 'ख़ुसरव'
वक़्त हालात का ख़ुद मर्सियाँ-ख़्वाँ है अब के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro
our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro
As you were reading Aadmi Shayari Shayari