tira khayal tha lafzon mein dhal gaya kaise | तिरा ख़याल था लफ़्ज़ों में ढल गया कैसे

  - Ameer Ahmad Khusro

tira khayal tha lafzon mein dhal gaya kaise
dilon mein sham-e-ghazal ban ke jal gaya kaise

vo aadmi jo mera dost tha zamaane tak
pata nahin ki yakaayak badal gaya kaise

bahut hi tez hawa sher-e-haadsaat ki thi
main girte girte na jaane sambhal gaya kaise

kahi bhi aag lagaane ka waqia na hua
to phir huzoor makaan mera jal gaya kaise

khalish se jis ki thi waabasta yaad manzil ki
vo khaar paanv se khusarav nikal gaya kaise

तिरा ख़याल था लफ़्ज़ों में ढल गया कैसे
दिलों में शम-ए-ग़ज़ल बन के जल गया कैसे

वो आदमी जो मिरा दोस्त था ज़माने तक
पता नहीं कि यकायक बदल गया कैसे

बहुत ही तेज़ हवा शेर-ए-हादसात की थी
मैं गिरते गिरते न जाने सँभल गया कैसे

कहीं भी आग लगाने का वाक़िआ' न हुआ
तो फिर हुज़ूर मकाँ मेरा जल गया कैसे

ख़लिश से जिस की थी वाबस्ता याद मंज़िल की
वो ख़ार पाँव से 'ख़ुसरव' निकल गया कैसे

  - Ameer Ahmad Khusro

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari