vo mohabbat na sahi dard-e-mohabbat hi sahi | वो मोहब्बत न सही दर्द-ए-मोहब्बत ही सही

  - Ameer Ahmad Khusro

vo mohabbat na sahi dard-e-mohabbat hi sahi
kuchh to mil jaaye hamein aap ki nafrat hi sahi

dast-e-qudrat ka banaya hua shehkaar to hai
aadmi aaj ka ik harf-e-malaamat hi sahi

un ki qismat mein samundar ka sukoon likkha hai
apni taqdeer mein seharaaon ki vehshat hi sahi

shehar mein tere thake paanv musaafir ke liye
do ghadi baith ke dam lene ki furqat hi sahi

aankh jalte hue lamhon se milaana hoga
dil mein beeti hui sadiyon ki halaavat hi sahi

वो मोहब्बत न सही दर्द-ए-मोहब्बत ही सही
कुछ तो मिल जाए हमें आप की नफ़रत ही सही

दस्त-ए-क़ुदरत का बनाया हुआ शहकार तो है
आदमी आज का इक हर्फ़-ए-मलामत ही सही

उन की क़िस्मत में समुंदर का सुकूँ लिक्खा है
अपनी तक़दीर में सहराओं की वहशत ही सही

शहर में तेरे थके पाँव मुसाफ़िर के लिए
दो घड़ी बैठ के दम लेने की फ़ुर्सत ही सही

आँख जलते हुए लम्हों से मिलाना होगा
दिल में बीती हुई सदियों की हलावत ही सही

  - Ameer Ahmad Khusro

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari