dhalti hue suraj ki ziya dekh rahe hain | ढलते हुए सूरज की ज़िया देख रहे हैं

  - Ameer Ahmad Khusro

dhalti hue suraj ki ziya dekh rahe hain
sadiyon se bhi anjaam-e-wafa dekh rahe hain

badli hui gulshan ki hawa dekh rahe hain
phoolon mein bhi kaanton ki ada dekh rahe hain

raahon mein bhatk jaate hain kis tarah musaafir
manzil pe khade raah-numa dekh rahe hain

taarikh ke chehre se naye daur ke haathon
mitati hui tahreer-e-wafa dekh rahe hain

lagta hai ki basti mein koi baat hui hai
har shakhs ko masroof-e-dua dekh rahe hain

achha hai baras jaaye agar dil ki zabaan par
ham dosh pe zulfon ki ghatta dekh rahe hain

galiyon mein madine ki abhi dekhne waale
sarkaar ke naqsh-e-kaf-e-paa dekh rahe hain

ehsaas ke toote hue aaine mein khusarav
jaltee hui ham apni chitaa dekh rahe hain

ढलते हुए सूरज की ज़िया देख रहे हैं
सदियों से भी अंजाम-ए-वफ़ा देख रहे हैं

बदली हुई गुलशन की हवा देख रहे हैं
फूलों में भी काँटों की अदा देख रहे हैं

राहों में भटक जाते हैं किस तरह मुसाफ़िर
मंज़िल पे खड़े राह-नुमा देख रहे हैं

तारीख़ के चेहरे से नए दौर के हाथों
मिटती हुई तहरीर-ए-वफ़ा देख रहे हैं

लगता है कि बस्ती में कोई बात हुई है
हर शख़्स को मसरूफ़-ए-दुआ देख रहे हैं

अच्छा है बरस जाए अगर दिल की ज़बाँ पर
हम दोश पे ज़ुल्फ़ों की घटा देख रहे हैं

गलियों में मदीने की अभी देखने वाले
सरकार के नक़्श-ए-कफ़-ए-पा देख रहे हैं

एहसास के टूटे हुए आईने में 'ख़ुसरव'
जलती हुई हम अपनी चिता देख रहे हैं

  - Ameer Ahmad Khusro

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari