kaun kehta hai sar-e-arsh-e-bareen rehta hai
vo to ik dard hai jo dil ke qareen rehta hai
chaand par apne qadam aap ne kyun rok liye
ek gaam aur ki suraj bhi yahin rehta hai
sham'a ki tarah pighlata hoon main lamha lamha
mere ehsaas mein ik shola-jabeen rehta hai
dil ke darwaaze pe ab kis ko sada dete ho
muddatein guzriin yahan koi nahin rehta hai
vo jo suraj ko hatheli pe liye firta tha
unhin tareek si galiyon mein kahi rehta hai
jin fazaaon mein tamannaon ka dam ghatta hai
haan mere daur ka fankaar wahin rehta hai
jaane ye shauq ki hai kaun si manzil khusarav
main kahi rehta hoon dil mera kahi rehta hai
कौन कहता है सर-ए-अर्श-ए-बरीं रहता है
वो तो इक दर्द है जो दिल के क़रीं रहता है
चाँद पर अपने क़दम आप ने क्यूँ रोक लिए
एक गाम और कि सूरज भी यहीं रहता है
शम्अ' की तरह पिघलता हूँ मैं लम्हा लम्हा
मेरे एहसास में इक शो'ला-जबीं रहता है
दिल के दरवाज़े पे अब किस को सदा देते हो
मुद्दतें गुज़रीं यहाँ कोई नहीं रहता है
वो जो सूरज को हथेली पे लिए फिरता था
उन्हीं तारीक सी गलियों में कहीं रहता है
जिन फ़ज़ाओं में तमन्नाओं का दम घटता है
हाँ मिरे दौर का फ़नकार वहीं रहता है
जाने ये शौक़ की है कौन सी मंज़िल 'ख़ुसरव'
मैं कहीं रहता हूँ दिल मेरा कहीं रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro
our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro
As you were reading Aahat Shayari Shayari