thakan se door har ik manzil-e-hayaat rahe | थकन से दूर हर इक मंज़िल-ए-हयात रहे

  - Ameer Ahmad Khusro

thakan se door har ik manzil-e-hayaat rahe
tira khayal safar mein jo saath saath rahe

mita diya unhen khud waqt ke taqaazon ne
jo log waqt ke marhoon-e-iltifaat rahe

har ek haadsa-e-zeest se guzar jaayen
hamaare haath mein jo zindagi ka haath rahe

jo apni zaat mein dariya bhi the samundar bhi
lab-e-furaat wahi tishna-e-furaat rahe

vo ajnabi ki tarah aaj ham se milte hain
tamaam umr jo khusarav hamaare saath rahe

थकन से दूर हर इक मंज़िल-ए-हयात रहे
तिरा ख़याल सफ़र में जो साथ साथ रहे

मिटा दिया उन्हें ख़ुद वक़्त के तक़ाज़ों ने
जो लोग वक़्त के मरहून-ए-इल्तिफ़ात रहे

हर एक हादसा-ए-ज़ीस्त से गुज़र जाएँ
हमारे हाथ में जो ज़िंदगी का हाथ रहे

जो अपनी ज़ात में दरिया भी थे समुंदर भी
लब-ए-फ़ुरात वही तिश्ना-ए-फ़ुरात रहे

वो अजनबी की तरह आज हम से मिलते हैं
तमाम उम्र जो 'ख़ुसरव' हमारे साथ रहे

  - Ameer Ahmad Khusro

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari