seharaaon ki pyaas bujhaane | सहराओं की प्यास बुझाने

  - Ameer Ahmad Khusro

seharaaon ki pyaas bujhaane
kab aaye barsaat na jaane

mujh ko meri yaad dilaane
aaye hain kuchh dost purane

jaane ghar kis kis ke jalenge
nikle hain vo jashn manaane

khwaabon ki waadi mein mile hain
beete lamhe guzre zamaane

waqt ke toote aaine mein
chehre hain sab jaane pahchaane

tum se mile to yaad aaya hai
dekhe the kuchh khwaab suhaane

raat ki baanhon mein khulte hain
teri yaadon ke maykhaane

ummeedein ghar chhod chuki theen
kab aaye hain hosh thikaane

dasht ki jaltee ret pe khusarav
waqt likhega apne fasaane

सहराओं की प्यास बुझाने
कब आए बरसात न जाने

मुझ को मेरी याद दिलाने
आए हैं कुछ दोस्त पुराने

जाने घर किस किस के जलेंगे
निकले हैं वो जश्न मनाने

ख़्वाबों की वादी में मिले हैं
बीते लम्हे गुज़रे ज़माने

वक़्त के टूटे आईने में
चेहरे हैं सब जाने पहचाने

तुम से मिले तो याद आया है
देखे थे कुछ ख़्वाब सुहाने

रात की बाँहों में खुलते हैं
तेरी यादों के मयख़ाने

उम्मीदें घर छोड़ चुकी थीं
कब आए हैं होश ठिकाने

दश्त की जलती रेत पे 'ख़ुसरव'
वक़्त लिखेगा अपने फ़साने

  - Ameer Ahmad Khusro

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Ahmad Khusro

As you were reading Shayari by Ameer Ahmad Khusro

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Ahmad Khusro

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari