khaamoshi se nikalti baat ka dukh
jaanta hoon tumhaari zaat ka dukh
neem-shab ki khamoshi aur gham-e-dil
noch leta hai aankh raat ka dukh
bas main shikwa-kunaan nahin tujh se
mujh ko vaise hai teri baat ka dukh
haar kar bhi main jeet jaaunga
bas kabhu ho jo tujh ko maat ka dukh
tum ne jeena hai main ne jeena hai
jaan nikalega ye hayaat ka dukh
mere jeene pe bhi na raazi tha
tujh ko hona tha kya wafaat ka dukh
dost gamgeen na hon mere hamza
paal loonga main paanch saath ka dukh
ख़ामुशी से निकलती बात का दुख
जानता हूँ तुम्हारी ज़ात का दुख
नीम-शब की ख़मोशी और ग़म-ए-दिल
नोच लेता है आँख रात का दुख
बस मैं शिकवा-कुनाँ नहीं तुझ से
मुझ को वैसे है तेरी बात का दुख
हार कर भी मैं जीत जाऊँगा
बस कभू हो जो तुझ को मात का दुख
तुम ने जीना है मैं ने जीना है
जाँ निकालेगा ये हयात का दुख
मेरे जीने पे भी न राज़ी था
तुझ को होना था क्या वफ़ात का दुख
दोस्त ग़मगीं न हों मिरे 'हमज़ा'
पाल लूँगा मैं पाँच सात का दुख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi
our suggestion based on Ameer Hamza Salfi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari