tujh se milne ke liye khud ko safar par rakha | तुझ से मिलने के लिए ख़ुद को सफ़र पर रक्खा

  - Ameer Hamza Salfi

tujh se milne ke liye khud ko safar par rakha
zindagi ne mera gham baar-e-digar par rakha

khud diye main ne jalaae tiri aamad ke liye
aur hawaon ko tiri khair khabar par rakha

kaafi kuchh haara hoon main aur badi mehnat se
aashiyaan main ne to sarsabz shajar par rakha

is maseeha ne miyaan zakham diye khud mujh ko
aur ilzaam kisi aur bashar par rakha

meri manzil mein rukaavat na banega hamza
us ne patthar jo meri raahguzar par rakha

तुझ से मिलने के लिए ख़ुद को सफ़र पर रक्खा
ज़िंदगी ने मिरा ग़म बार-ए-दिगर पर रक्खा

ख़ुद दिए मैं ने जलाए तिरी आमद के लिए
और हवाओं को तिरी ख़ैर ख़बर पर रक्खा

काफ़ी कुछ हारा हूँ मैं और बड़ी मेहनत से
आशियाँ मैं ने तो सरसब्ज़ शजर पर रक्खा

इस मसीहा ने मियाँ ज़ख़्म दिए ख़ुद मुझ को
और इल्ज़ाम किसी और बशर पर रक्खा

मेरी मंज़िल में रुकावट न बनेगा 'हमज़ा'
उस ने पत्थर जो मिरी राहगुज़र पर रक्खा

  - Ameer Hamza Salfi

Berozgari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Hamza Salfi

As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Hamza Salfi

Similar Moods

As you were reading Berozgari Shayari Shayari