achha mera khayal hai tum kyun chale gaye
ab tak mujhe malaal hai tum kyun chale gaye
shikwa na tha na koi shikaayat thi mujh se jab
phir tum se ye sawaal hai tum kyun chale gaye
mujh ko to das rahi hain ye aayaat-e-wasl bhi
aur hijr bhi muhaal hai tum kyun chale gaye
socha na tum ne mera ki kaise tumhaare bin
mushkil ye sab vabaal hai tum kyun chale gaye
tum to chale gaye ho magar jaante ho tum
dukh se ye dil nidhaal hai tum kyun chale gaye
tum to nahin ho main hoon fugaan hai sukoot hai
aur vahshaton ka jaal hai tum kyun chale gaye
uthata hai mere dil mein musalsal jo kuchh nahin
hamza vo bas sawaal hai tum kyun chale gaye
अच्छा मिरा ख़याल है तुम क्यों चले गए
अब तक मुझे मलाल है तुम क्यों चले गए
शिकवा न था न कोई शिकायत थी मुझ से जब
फिर तुम से ये सवाल है तुम क्यों चले गए
मुझ को तो डस रही हैं ये आयात-ए-वस्ल भी
और हिज्र भी मुहाल है तुम क्यों चले गए
सोचा न तुम ने मेरा कि कैसे तुम्हारे बिन
मुश्किल ये सब वबाल है तुम क्यों चले गए
तुम तो चले गए हो मगर जानते हो तुम
दुख से ये दिल निढाल है तुम क्यों चले गए
तुम तो नहीं हो मैं हूँ फ़ुग़ाँ है सुकूत है
और वहशतों का जाल है तुम क्यों चले गए
उठता है मेरे दिल में मुसलसल जो कुछ नहीं
'हमज़ा' वो बस सवाल है तुम क्यों चले गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi
our suggestion based on Ameer Hamza Salfi
As you were reading Sad Shayari Shayari