ek takleef pas-e-qalb-o-jigar hoti hai
akshar is tarah se bhi raat basar hoti hai
main gham-e-shab ko basar karta hoon mushkil se miyaan
shab guzarte hi kisi dukh se sehar hoti hai
naaseha kuchh to kami hogi tiri baat mein bhi
is liye teri naseehat be-asar hoti hai
de to saka hoon jawaaban main tujhe bhi gaali
mere kirdaar ki tauheen magar hoti hai
silsila hai ye mohabbat bhi mukaafat hi ka
jo idhar hoti hai haalat vo udhar hoti hai
aate hain kitne hi dushwaar maraahil hamza
tay jo ki jaaye to tay raahguzar hoti hai
एक तकलीफ़ पस-ए-क़ल्ब-ओ-जिगर होती है
अक्सर इस तरह से भी रात बसर होती है
मैं ग़म-ए-शब को बसर करता हूँ मुश्किल से मियाँ
शब गुज़रते ही किसी दुख से सहर होती है
नासेहा कुछ तो कमी होगी तिरी बात में भी
इस लिए तेरी नसीहत बे-असर होती है
दे तो सकता हूँ जवाबन मैं तुझे भी गाली
मेरे किरदार की तौहीन मगर होती है
सिलसिला है ये मोहब्बत भी मुकाफ़ात ही का
जो इधर होती है हालत वो उधर होती है
आते हैं कितने ही दुश्वार मराहिल 'हमज़ा'
तय जो की जाए तो तय राहगुज़र होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi
our suggestion based on Ameer Hamza Salfi
As you were reading Majboori Shayari Shayari