kyun hua baab vaa udaasi ka | क्यों हुआ बाब वा उदासी का

  - Ameer Hamza Salfi

kyun hua baab vaa udaasi ka
kuchh bigaara hai kya udaasi ka

main ne kaaghaz pe she'r likh kar phir
rang us mein bhara udaasi ka

muskurata chala gaya phir main
dil bahut tha jala udaasi ka

tum mere ghar dobara aaye ho
phool phir se khila udaasi ka

meri tishna-labi mita saaqi
ek saagar pila udaasi ka

kis ne toda shajar mere ghar se
ki parinda uda udaasi ka

nahin ma'aloom tujh ko bhi hamza
tu bhi hai manchala udaasi ka

क्यों हुआ बाब वा उदासी का
कुछ बिगाड़ा है क्या उदासी का

मैं ने काग़ज़ पे शे'र लिख कर फिर
रंग उस में भरा उदासी का

मुस्कुराता चला गया फिर मैं
दिल बहुत था जला उदासी का

तुम मिरे घर दोबारा आए हो
फूल फिर से खिला उदासी का

मिरी तिश्ना-लबी मिटा साक़ी
एक सागर पिला उदासी का

किस ने तोड़ा शजर मिरे घर से
कि परिंदा उड़ा उदासी का

नहीं मा'लूम तुझ को भी 'हमज़ा'
तू भी है मंचला उदासी का

  - Ameer Hamza Salfi

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Hamza Salfi

As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Hamza Salfi

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari