aaye koi hamraaz sitamgar koi aaye
hasrat thi kabhi mere barabar koi aaye
aati hain mere dil ke kiwaadon se sadaaein
ik baar kabhi mere bhi dar par koi aaye
veeraan padi hai ye haveli bhi kabhu ki
hasrat hai ki is dil ke bhi andar koi aaye
ham baithe hain is aas pe kab ke mere allah
zar aaye sadaf aaye ya gauhar koi aaye
jis ne kabhi basti se nikala mujhe hamza
ab us ki ye hasrat ki mayassar koi aaye
आए कोई हमराज़ सितमगर कोई आए
हसरत थी कभी मेरे बराबर कोई आए
आती हैं मिरे दिल के किवाड़ों से सदाएँ
इक बार कभी मेरे भी दर पर कोई आए
वीरान पड़ी है ये हवेली भी कभू की
हसरत है कि इस दिल के भी अंदर कोई आए
हम बैठे हैं इस आस पे कब के मिरे अल्लाह
ज़र आए सदफ़ आए या गौहर कोई आए
जिस ने कभी बस्ती से निकाला मुझे 'हमज़ा'
अब उस की ये हसरत कि मयस्सर कोई आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi
our suggestion based on Ameer Hamza Salfi
As you were reading Dar Shayari Shayari