ban ke aansu meri aankhon mein samaane waale
khair ho teri mujhe chhod ke jaane waale
aakhirsh kaun sa rasta hai jidhar jaate hain
chhod kar raah mein ye saath nibhaane waale
ham to sher'on ko udaasi ke sabab kahte hain
jaane kyun jalte hain phir ham se zamaane waale
jagahen kuchh hoti nahin yaar tumhaare laayeq
har jagah hote ho tum paanv jamaane waale
apni umren bhi bitaaiye ki jatan laakh kiye
phir bhi naakaam rahe haq ko dabane waale
vo kya jaane hain ye taaseer qalam ki hamza
log hote hain jo talwaar chalaane waale
बन के आँसू मिरी आँखों में समाने वाले
ख़ैर हो तेरी मुझे छोड़ के जाने वाले
आख़िरश कौन सा रस्ता है जिधर जाते हैं
छोड़ कर राह में ये साथ निभाने वाले
हम तो शे'रों को उदासी के सबब कहते हैं
जाने क्यों जलते हैं फिर हम से ज़माने वाले
जगहें कुछ होतीं नहीं यार तुम्हारे लाएक़
हर जगह होते हो तुम पाँव जमाने वाले
अपनी उम्रें भी बिताईं कि जतन लाख किए
फिर भी नाकाम रहे हक़ को दबाने वाले
वो क्या जाने हैं ये तासीर क़लम की 'हमज़ा'
लोग होते हैं जो तलवार चलाने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi
our suggestion based on Ameer Hamza Salfi
As you were reading Mayoosi Shayari Shayari