firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalaam dukh hai tamaam dukh hai
yahan har ik mod par har ik shay ka naam dukh hai tamaam dukh hai
samajh saka ek bhi na jab vo sawaal mera jawaab mera
lage hai mujh ko ki mera saara kalaam dukh hai tamaam dukh hai
khushi bhi aave hai aur gami bhi ye zindagi ka safar hai pyaare
khushi hai mazhar bahaar ka gham ka naam dukh hai tamaam dukh hai
qadam jamaaye khade raho tum na hausale past hone dena
hai aane waala jo ek aage maqaam dukh hai tamaam dukh hai
ye siskiyaan ye muheeb raatein ye be-qaraari ameer hamza
hain rog jitne bhi un sabhi ka imaam dukh hai tamaam dukh hai
फ़िराक़-ए-शब की अज़िय्यतों का कलाम दुख है तमाम दुख है
यहाँ हर इक मोड़ पर हर इक शय का नाम दुख है तमाम दुख है
समझ सका एक भी न जब वो सवाल मेरा जवाब मेरा
लगे है मुझ को कि मेरा सारा कलाम दुख है तमाम दुख है
ख़ुशी भी आवे है और ग़मी भी ये ज़िंदगी का सफ़र है प्यारे
ख़ुशी है मज़हर बहार का ग़म का नाम दुख है तमाम दुख है
क़दम जमाए खड़े रहो तुम न हौसले पस्त होने देना
है आने वाला जो एक आगे मक़ाम दुख है तमाम दुख है
ये सिसकियाँ ये मुहीब रातें ये बे-क़रारी अमीर 'हमज़ा'
हैं रोग जितने भी उन सभी का 'इमाम' दुख है तमाम दुख है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Hamza Salfi
our suggestion based on Ameer Hamza Salfi
As you were reading Udas Shayari Shayari