ishq ke maraahil mein vo bhi waqt aata hai | इश्क़ के मराहिल में वो भी वक़्त आता है

  - Amir Usmani

ishq ke maraahil mein vo bhi waqt aata hai
aafatein barasti hain dil sukoon paata hai

aazmaishen ai dil sakht hi sahi lekin
ye naseeb kya kam hai koi aazmaata hai

umr jitni badhti hai aur ghatti jaati hai
saans jo bhi aata hai laash ban ke jaata hai

aabloon ka shikwa kya thokron ka gham kaisa
aadmi mohabbat mein sab ko bhool jaata hai

kaar-zaar-e-hasti mein izz-o-jaah ki daulat
bheek bhi nahin milti aadmi kamata hai

apni qabr mein tanhaa aaj tak gaya hai kaun
daftar-e-amal aamir saath saath jaata hai

इश्क़ के मराहिल में वो भी वक़्त आता है
आफ़तें बरसती हैं दिल सुकून पाता है

आज़माइशें ऐ दिल सख़्त ही सही लेकिन
ये नसीब क्या कम है कोई आज़माता है

उम्र जितनी बढ़ती है और घटती जाती है
साँस जो भी आता है लाश बन के जाता है

आबलों का शिकवा क्या ठोकरों का ग़म कैसा
आदमी मोहब्बत में सब को भूल जाता है

कार-ज़ार-ए-हस्ती में इज़्ज़-ओ-जाह की दौलत
भीक भी नहीं मिलती आदमी कमाता है

अपनी क़ब्र में तन्हा आज तक गया है कौन
दफ़्तर-ए-अमल 'आमिर' साथ साथ जाता है

  - Amir Usmani

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Usmani

As you were reading Shayari by Amir Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Amir Usmani

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari