gham-e-behd mein kis ko zabt ka maqdoor hota hai | ग़म-ए-बेहद में किस को ज़ब्त का मक़्दूर होता है

  - Amir Usmani

gham-e-behd mein kis ko zabt ka maqdoor hota hai
chhalk jaata hai paimaana agar bharpoor hota hai

kabhi aisa bhi hota hai ki dil ranjoor hota hai
magar insaan hansne ke liye majboor hota hai

faza-e-zindagi ki zulmato_n ke marsiya-khwaano
andheron hi ke dam se imtiyaaz-e-noor hota hai

nahin ye marhala ai dost har bismil ki qismat mein
bahut mushkil se koi zakhm-e-dil naasoor hota hai

ye sai-e-zabt-e-gham aankhon mein aansu rokne waale
safeenon mein kahi toofaan bhi mastur hota hai

ग़म-ए-बेहद में किस को ज़ब्त का मक़्दूर होता है
छलक जाता है पैमाना अगर भरपूर होता है

कभी ऐसा भी होता है कि दिल रंजूर होता है
मगर इंसान हँसने के लिए मजबूर होता है

फ़ज़ा-ए-ज़िंदगी की ज़ुल्मतों के मर्सिया-ख़्वानो
अंधेरों ही के दम से इम्तियाज़-ए-नूर होता है

नहीं ये मरहला ऐ दोस्त हर बिस्मिल की क़िस्मत में
बहुत मुश्किल से कोई ज़ख़्म-ए-दिल नासूर होता है

ये सइ-ए-ज़ब्त-ए-ग़म आँखों में आँसू रोकने वाले
सफ़ीनों में कहीं तूफ़ान भी मस्तूर होता है

  - Amir Usmani

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Usmani

As you were reading Shayari by Amir Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Amir Usmani

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari