dard badhta gaya jitne darmaan kiye pyaas badhti gai jitne aansu piye | दर्द बढ़ता गया जितने दरमाँ किए प्यास बढ़ती गई जितने आँसू पिए

  - Amir Usmani

dard badhta gaya jitne darmaan kiye pyaas badhti gai jitne aansu piye
aur jab daaman-e-zabt chhutne laga ham ne khwaabon ke jhoote sahaare liye

ishq badhta raha soo-e-daar-o-rasan zakham khaata hua muskurata hua
raasta rokte rokte thak gaye zindagi ke badalte hue zaaviye

gum hui jab andheron mein raah-e-wafa ham ne sham-e-junoon se ujaala kiya
jab na paai koi shakl-e-bakhiya-gari ham ne kaanton se zakhamon ke munh si liye

us ke vaadon se itna to saabit hua us ko thoda sa paas-e-taalluq to hai
ye alag baat hai vo hai waada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne vaade kiye

khatm hone ko hai qissa-e-zindagi ab hamein aap se koi shikwa nahin
tal na jaaye kahi maut aayi hui pursish-e-gham ki zahmat na farmaiye

jab hijaabo mein pinhaan tha husn-e-butaan but-parasti ka bhi ek meyaar tha
ab to har mod par but hi but jalvaagar ab kahaan tak buton ko khuda maaniye

kitne arbaab-e-himmat ne un ke liye badh ke maidaan mein jaan bhi haar di
ab bhi un ki nigaahon mein hai bad-zani ab bhi un ko wafa ki sanad chahiye

jis ne lootaa tha us ko salaami mili ham lute ham ko mulzim bataaya gaya
mast aankhon pe ilzaam aaya nahin ham pe lagti raheen tohmaten bin piye

jis ne aamir mata-e-khudi bech di sach ye hai ismat-e-zindagi bech di
sar jhukaane se behtar hai sar deejie bheek lene se behtar hai mar jaaie

दर्द बढ़ता गया जितने दरमाँ किए प्यास बढ़ती गई जितने आँसू पिए
और जब दामन-ए-ज़ब्त छुटने लगा हम ने ख़्वाबों के झूटे सहारे लिए

इश्क़ बढ़ता रहा सू-ए-दार-ओ-रसन ज़ख़्म खाता हुआ मुस्कुराता हुआ
रास्ता रोकते रोकते थक गए ज़िंदगी के बदलते हुए ज़ाविए

गुम हुई जब अंधेरों में राह-ए-वफ़ा हम ने शम-ए-जुनूँ से उजाला किया
जब न पाई कोई शक्ल-ए-बख़िया-गरी हम ने काँटों से ज़ख़्मों के मुँह सी लिए

उस के वादों से इतना तो साबित हुआ उस को थोड़ा सा पास-ए-तअल्लुक़ तो है
ये अलग बात है वो है वादा-शिकन ये भी कुछ कम नहीं उस ने वादे किए

ख़त्म होने को है क़िस्सा-ए-ज़िंदगी अब हमें आप से कोई शिकवा नहीं
टल न जाए कहीं मौत आई हुई पुर्सिश-ए-ग़म की ज़हमत न फ़रमाइए

जब हिजाबों में पिन्हाँ था हुस्न-ए-बुताँ बुत-परस्ती का भी एक मेयार था
अब तो हर मोड़ पर बुत ही बुत जल्वागर अब कहाँ तक बुतों को ख़ुदा मानिए

कितने अरबाब-ए-हिम्मत ने उन के लिए बढ़ के मैदान में जान भी हार दी
अब भी उन की निगाहों में है बद-ज़नी अब भी उन को वफ़ा की सनद चाहिए

जिस ने लूटा था उस को सलामी मिली हम लुटे हम को मुल्ज़िम बताया गया
मस्त आँखों पे इल्ज़ाम आया नहीं हम पे लगती रहीं तोहमतें बिन पिए

जिस ने 'आमिर' मता-ए-ख़ुदी बेच दी सच ये है इस्मत-ए-ज़िंदगी बेच दी
सर झुकाने से बेहतर है सर दीजिए भीक लेने से बेहतर है मर जाइए

  - Amir Usmani

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Usmani

As you were reading Shayari by Amir Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Amir Usmani

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari