dil jiska bholа-bhaala hota hai | दिल जिसका भोला-भाला होता है

  - Aazaad

dil jiska bholа-bhaala hota hai
vo akshar tanha-tanha hota hai

aansu aaye to ro lena pyaare
ro lene se man halka hota hai

pyaari baatein bas tumse karta hoon
baaki se mera jhagda hota hai

tum mujhko apna kahte firte ho
lekin kah lene se kya hota hai

jaldi-jaldi baatein karti hai vo
usko bartan bhi dhona hota hai

tumko ghazlon mein likhne se pehle
tumko ghanton tak socha hota hai

ye lav-shav ke chakkar me bande ka
bas be-matlab ka kharcha hota hai

duniya se lad jaao jiski khaatir
ik din usse bhi jhagda hota hai

दिल जिसका भोला-भाला होता है
वो अक्सर तन्हा-तन्हा होता है

आँसू आए तो रो लेना प्यारे
रो लेने से मन हल्का होता है

प्यारी बातें बस तुमसे करता हूँ
बाकी से मेरा झगड़ा होता है

तुम मुझको अपना कहते फिरते हो
लेकिन कह लेने से क्या होता है

जल्दी-जल्दी बातें करती है वो
उसको बर्तन भी धोना होता है

तुमको ग़ज़लों में लिखने से पहले
तुमको घंटों तक सोचा होता है

ये लव-शव के चक्कर मे बन्दे का
बस बे-मतलब का ख़र्चा होता है

दुनिया से लड़ जाओ जिसकी ख़ातिर
इक दिन उससे भी झगड़ा होता है

  - Aazaad

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aazaad

As you were reading Shayari by Aazaad

Similar Writers

our suggestion based on Aazaad

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari