shiddat-e-gham se jo khaamosh zabaan hoti hai
dil ki har baat nigaahon se bayaan hoti hai
yahi shabnam jo gul-o-ghuncha ki jaan hoti hai
baaz auqaat gulistaan pe giran hoti hai
bas wahin saahil-e-ummeed ubhar aata hai
kashti-e-dil b-khushi ghark jahaan hoti hai
ahl-e-dil ahl-e-yakeen ahl-e-amal ke aage
raah dushwaar bhi dushwaar kahaan hoti hai
kashti-e-umr hai toofaan-e-haawadis mein magar
ghark hoti hai ye zalim na ravaan hoti hai
ham to deewana-e-manzil hain hamein kya maaloom
subh hoti hai kahaan shaam kahaan hoti hai
kah do gulchein se ki phoolon ko sambhal kar tode
inheen phoolon mein nihaan barq-e-tapaan hoti hai
शिद्दत-ए-ग़म से जो ख़ामोश ज़बाँ होती है
दिल की हर बात निगाहों से बयाँ होती है
यही शबनम जो गुल-ओ-ग़ुन्चा की जाँ होती है
बाज़ औक़ात गुलिस्ताँ पे गिराँ होती है
बस वहीं साहिल-ए-उम्मीद उभर आता है
कश्ती-ए-दिल ब-खु़शी ग़र्क़ जहाँ होती है
अहल-ए-दिल अहल-ए-यकीं अहल-ए-अमल के आगे
राह दुश्वार भी दुश्वार कहाँ होती है
कश्ती-ए-उम्र है तूफ़ान-ए-हवादिस में मगर
ग़र्क़ होती है ये ज़ालिम न रवाँ होती है
हम तो दीवाना-ए-मंज़िल हैं हमें क्या मालूम
सुब्ह होती है कहाँ शाम कहाँ होती है
कह दो गुलचीं से कि फूलों को सँभल कर तोड़े
इन्हीं फूलों में निहाँ बर्क़-ए-तपाँ होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Ali Ghaznawi
our suggestion based on Amjad Ali Ghaznawi
As you were reading Baaten Shayari Shayari