ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qaraar nahin | ये दिल जो दर्द-ए-मोहब्बत से बे-क़रार नहीं

  - Amjad Ali Ghaznawi

ye dil jo dard-e-mohabbat se be-qaraar nahin
vo subh-e-shauq nahin shaam-e-intizaar nahin

kisi nigaah mein masti nahin khumaar nahin
ye koi aur hain saaqi ye baada-khwaar nahin

tumhaari shaakh-e-nasheman mein barg-o-baar nahin
bahaar mein bhi tumhaare liye bahaar nahin

gulon ki gunchon ki pazmurdagi se zaahir hai
chaman mein aaj bhi haalaat saazgaar nahin

ravish ravish pe ye kaante to khair kaante hain
yahan to laala-o-gul ka bhi e'tibaar nahin

rah-e-khirad mein b-har-gaam laakh kaante hain
junoon ki raah mein haa'il ye khaar-zaar nahin

tumhaara dast-e-junoon kya abhi nahin utha
ta'yyunaat ke parde jo taar taar nahin

ajeeb haal hai is gulsitaan-e-hasti ka
kabhi bahaar hai is mein kabhi bahaar nahin

vo doosron ke liye kya banenge chashma-e-faiz
jo aap apne gunaahon pe sharmasaar nahin

ye sang-o-khisht jo hon mo'tabar to hon lekin
is aadmi ka bahr-haal e'tibaar nahin

ye aaj-kal ki bahaarein bhi rooh-farsa hain
wahin sukoon hai b-zaahir jahaan bahaar nahin

utha ke jaam-o-suboo khud undel lete hain
hamaari bazm mein saaqi ka intizaar nahin

ye dekhte ho jo amjad ko may-kada-bar-dosh
vo may-farosh hai may-nosh-o-may-gusaar nahin

ये दिल जो दर्द-ए-मोहब्बत से बे-क़रार नहीं
वो सुब्ह-ए-शौक़ नहीं शाम-ए-इंतिज़ार नहीं

किसी निगाह में मस्ती नहीं ख़ुमार नहीं
ये कोई और हैं साक़ी ये बादा-ख़्वार नहीं

तुम्हारी शाख़-ए-नशेमन में बर्ग-ओ-बार नहीं
बहार में भी तुम्हारे लिए बहार नहीं

गुलों की ग़ुंचों की पज़मुर्दगी से ज़ाहिर है
चमन में आज भी हालात साज़गार नहीं

रविश रविश पे ये काँटे तो ख़ैर काँटे हैं
यहाँ तो लाला-ओ-गुल का भी ए'तिबार नहीं

रह-ए-ख़िरद में ब-हर-गाम लाख काँटे हैं
जुनूँ की राह में हाइल ये ख़ार-ज़ार नहीं

तुम्हारा दस्त-ए-जुनूँ क्या अभी नहीं उट्ठा
तअ'य्युनात के पर्दे जो तार तार नहीं

अजीब हाल है इस गुलसितान-ए-हस्ती का
कभी बहार है इस में कभी बहार नहीं

वो दूसरों के लिए क्या बनेंगे चश्मा-ए-फ़ैज़
जो आप अपने गुनाहों पे शर्मसार नहीं

ये संग-ओ-ख़िश्त जो हों मो'तबर तो हों लेकिन
इस आदमी का बहर-हाल ए'तिबार नहीं

ये आज-कल की बहारें भी रूह-फ़र्सा हैं
वहीं सुकूँ है ब-ज़ाहिर जहाँ बहार नहीं

उठा के जाम-ओ-सुबू ख़ुद उंडेल लेते हैं
हमारी बज़्म में साक़ी का इंतिज़ार नहीं

ये देखते हो जो 'अमजद' को मय-कदा-बर-दोश
वो मय-फ़रोश है मय-नोश-ओ-मय-गुसार नहीं

  - Amjad Ali Ghaznawi

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Ali Ghaznawi

As you were reading Shayari by Amjad Ali Ghaznawi

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Ali Ghaznawi

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari