zawaal-e-gulsitaan dekha na jaaye
ujadta aashiyaan dekha na jaaye
utho aur mausam-e-gul mein badal do
agar daur-e-khizaan dekha na jaaye
raha karte hain ham ab us zameen par
jahaan se aasmaan dekha na jaaye
ye ham baada-kashon ki anjuman hai
yahan sood-o-ziyaan dekha na jaaye
kisi bulbul se kyun ab shaakh-e-gul ko
chaman mein gul-fishaan dekha na jaaye
khade hain sar ke bal shaikh-o-barhaman
dar-e-peer-e-mugaan dekha na jaaye
hamaare daur-e-ghamgeen mein kisi se
kisi ko shaadmaan dekha na jaaye
na jaane kyun kisi mehfil mein mujh se
kisi ko sargiraan dekha na jaaye
bahut dekhi riya-kaari-e-aada
fareb-e-dostaan dekha na jaaye
dayaar-e-dair ya sehan-e-haram mein
hujoom-e-may-kashaan dekha na jaaye
safar mein kaarwaan se door rah kar
ghubaar-e-kaarvaan dekha na jaaye
siyaasat ke tan-e-be-jaan pe amjad
hujoom-e-kargasaan dekha na jaaye
ज़वाल-ए-गुलसिताँ देखा न जाए
उजड़ता आशियाँ देखा न जाए
उठो और मौसम-ए-गुल में बदल दो
अगर दौर-ए-ख़िज़ाँ देखा न जाए
रहा करते हैं हम अब उस ज़मीं पर
जहाँ से आसमाँ देखा न जाए
ये हम बादा-कशों की अंजुमन है
यहाँ सूद-ओ-ज़ियाँ देखा न जाए
किसी बुलबुल से क्यों अब शाख़-ए-गुल को
चमन में गुल-फ़िशाँ देखा न जाए
खड़े हैं सर के बल शैख़-ओ-बरहमन
दर-ए-पीर-ए-मुग़ाँ देखा न जाए
हमारे दौर-ए-ग़मगीं में किसी से
किसी को शादमाँ देखा न जाए
न जाने क्यों किसी महफ़िल में मुझ से
किसी को सरगिराँ देखा न जाए
बहुत देखी रिया-कारी-ए-आदा
फ़रेब-ए-दोस्ताँ देखा न जाए
दयार-ए-दैर या सेहन-ए-हरम में
हुजूम-ए-मय-कशाँ देखा न जाए
सफ़र में कारवाँ से दूर रह कर
ग़ुबार-ए-कारवाँ देखा न जाए
सियासत के तन-ए-बे-जाँ पे 'अमजद'
हुजूम-ए-करगसाँ देखा न जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Ali Ghaznawi
our suggestion based on Amjad Ali Ghaznawi
As you were reading Travel Shayari Shayari