dil nahin dil ka iztiraab nahin
saagar-e-jam nahin sharaab nahin
daur ye daur-e-inqilaab nahin
barq mein bhi to pech-o-taab nahin
barq to hai magar sahaab nahin
dhoop hai aur aftaab nahin
shauq-e-naakaam hi sahi lekin
husn bhi aaj kaamyaab nahin
din mein taarikee-e-shab-e-gham hai
ye haqeeqat hai koi khwaab nahin
ai naseem-e-sehr chaman mein kyun
laala-o-gul mein aab-o-taab nahin
aadmi aadmi ka dushman hai
ik tamasha hai inqilaab nahin
is ko maahol ne kharab kiya
aadmi fitratan kharab nahin
baagbaan shaakh-e-gul se hai naaraz
barq ab moorid-e-itaab nahin
sahan-e-gulshan mein aaj abr-e-karam
ek ham hain ki faizyaab nahin
kuchh dinon se na jaane kyun dil mein
ik khalish si hai iztiraab nahin
ab mere un ke darmiyaan amjad
koi parda nahin hijaab nahin
दिल नहीं दिल का इज़्तिराब नहीं
साग़र-ए-जम नहीं शराब नहीं
दौर ये दौर-ए-इंक़िलाब नहीं
बर्क़ में भी तो पेच-ओ-ताब नहीं
बर्क़ तो है मगर सहाब नहीं
धूप है और आफ़्ताब नहीं
शौक़-ए-नाकाम ही सही लेकिन
हुस्न भी आज कामयाब नहीं
दिन में तारीकी-ए-शब-ए-ग़म है
ये हक़ीक़त है कोई ख़्वाब नहीं
ऐ नसीम-ए-सहर चमन में क्यों
लाला-ओ-गुल में आब-ओ-ताब नहीं
आदमी आदमी का दुश्मन है
इक तमाशा है इंक़लाब नहीं
इस को माहौल ने ख़राब किया
आदमी फ़ितरतन ख़राब नहीं
बाग़बाँ शाख़-ए-गुल से है नाराज़
बर्क़ अब मूरिद-ए-इताब नहीं
सहन-ए-गुलशन में आज अब्र-ए-करम
एक हम हैं कि फ़ैज़याब नहीं
कुछ दिनों से न जाने क्यों दिल में
इक ख़लिश सी है इज़्तिराब नहीं
अब मिरे उन के दरमियाँ 'अमजद'
कोई पर्दा नहीं हिजाब नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Ali Ghaznawi
our suggestion based on Amjad Ali Ghaznawi
As you were reading Dushman Shayari Shayari