naghma jo mahmil ke baahar hai wahi mahmil mein hai
haal mein zaahir hai poshida jo mustaqbil mein hai
jis ka partav gesu-e-shab mein mah-e-kaamil mein hai
ik jhalak us husn-e-posheeda ki tere dil mein hai
jalwa-e-yazdaan bhi raqs-e-ahraman bhi dil mein hai
aadmi bhi kis qadar uljhan mein hai mushkil mein hai
kah raha tha ek deewaana ye hangaam-e-safar
rah-navardi mein jo raahat hai wahi manzil mein hai
hausla-mandaan ghavvaasaan-e-dariya ke liye
zindagi maujon mein hai jo vo kahaan saahil mein hai
apni fitrat par chaman mein khaar-o-gul to hain magar
ik tazaad-e-mustaqil is musht-e-aab-o-gil mein hai
jaam hai meena hai sahba-e-junoon-afzaa bhi hai
saaqiya aa ja ki ik teri kami mehfil mein hai
be-rah-o-be-rahnunmaa garm-e-safar hai qaafila
faaeda kya is tarah ki saee-e-la-haasil mein hai
paikar-e-shauq-o-talab ban kar jo hai garm-e-safar
har qadam us raah-rau ka sarhad-e-manzil mein hai
marja-e-ilhaam ban saka hai koshish ho agar
ik maqaam aisa bhi pinhaan aadmi ke dil mein hai
aftaab-e-dil se garma aur chamka de use
zarra-e-haq jo nihaan gard-e-rah-e-baatil mein hai
dil to hai naa-aashnaa-e-badaa-haa-e-zindagi
jaam-o-meena ka magar sauda sar-e-ghaafil mein hai
dhoondte rahiye magar amjad ko pa sakte nahin
vo to ab ik noor ke dariyaa-e-be-saahil mein he
नग़्मा जो महमिल के बाहर है वही महमिल में है
हाल में ज़ाहिर है पोशीदा जो मुस्तक़बिल में है
जिस का परतव गेसु-ए-शब में मह-ए-कामिल में है
इक झलक उस हुस्न-ए-पोशीदा की तेरे दिल में है
जलवा-ए-यज़्दाँ भी रक़्स-ए-अहरमन भी दिल में है
आदमी भी किस क़दर उलझन में है मुश्किल में है
कह रहा था एक दीवाना ये हंगाम-ए-सफ़र
रह-नवर्दी में जो राहत है वही मंज़िल में है
हौसला-मंदान ग़व्वासान-ए-दरिया के लिए
ज़िंदगी मौजों में है जो वो कहाँ साहिल में है
अपनी फ़ितरत पर चमन में ख़ार-ओ-गुल तो हैं मगर
इक तज़ाद-ए-मुस्तक़िल इस मुश्त-ए-आब-ओ-गिल में है
जाम है मीना है सहबा-ए-जुनूँ-अफ़ज़ा भी है
साक़िया आ जा कि इक तेरी कमी महफ़िल में है
बे-रह-ओ-बे-रहनुमा गर्म-ए-सफ़र है क़ाफ़िला
फ़ाएदा क्या इस तरह की सई-ए-ला-हासिल में है
पैकर-ए-शौक़-ओ-तलब बन कर जो है गर्म-ए-सफ़र
हर क़दम उस राह-रौ का सरहद-ए-मंज़िल में है
मरजा-ए-इल्हाम बन सकता है कोशिश हो अगर
इक मक़ाम ऐसा भी पिन्हाँ आदमी के दिल में है
आफ़्ताब-ए-दिल से गरमा और चमका दे उसे
ज़र्रा-ए-हक़ जो निहाँ गर्द-ए-रह-ए-बातिल में है
दिल तो है ना-आश्ना-ए-बादा-हा-ए-ज़िंदगी
जाम-ओ-मीना का मगर सौदा सर-ए-ग़ाफ़िल में है
ढूँडते रहिए मगर 'अमजद' को पा सकते नहीं
वो तो अब इक नूर के दरिया-ए-बे-साहिल में हे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Ali Ghaznawi
our suggestion based on Amjad Ali Ghaznawi
As you were reading Sharaab Shayari Shayari