usne jab bhi kabhi mohabbat ki
jaise mujhpe koi inaayat ki
doob jaate hain ahl-e-dil ismein
main wahi jheel hoon mohabbat ki
phir mere roo-b-roo vo aaya hai
phir khabar ho gai qayamat ki
hont par hont rakh diye maine
kya zaroorat hai ab ijaazat ki
jab tera lams ho gaya haasil
kisko parwaah koi jannat ki
aise manzil nahin mili mujhko
maine paane ko khoob mehnat ki
ghamzadon ne sajaai thi mehfil
aur maine wahan nizaamat ki
aazmao na tum ananya ko
had hoti hai ik sharaafat ki
उसने जब भी कभी मोहब्बत की
जैसे मुझपे कोई इनायत की
डूब जाते हैं अहल-ए-दिल इसमें
मैं वही झील हूँ मोहब्बत की
फिर मेरे रू-ब-रू वो आया है
फिर ख़बर हो गई क़यामत की
होंठ पर होंठ रख दिए मैंने
क्या ज़रूरत है अब इजाज़त की
जब तेरा लम्स हो गया हासिल
किसको परवाह कोई जन्नत की
ऐसे मंज़िल नहीं मिली मुझको
मैने पाने को ख़ूब मेहनत की
ग़मज़दों ने सजाई थी महफ़िल
और मैने वहाँ निज़ामत की
आज़माओ ना तुम 'अनन्या' को
हद होती है इक शराफ़त की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ananya Rai Parashar
our suggestion based on Ananya Rai Parashar
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari