mujh pe har zulm rawa rakh ki main jo hoon so hoon | मुझ पे हर ज़ुल्म रवा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

  - Anees Ansari

mujh pe har zulm rawa rakh ki main jo hoon so hoon
mujh ko apne se juda rakh ki main jo hoon so hoon

main ki masloob hoon de mujh ko bhi zalim ka khitaab
sunnat-e-eesa jila rakh ki main jo hoon so hoon

mere ghar mein hai jo ghaasib to nikaaloon ki nahin
mujh pe ilzaam-e-jafa rakh ki main jo hoon so hoon

tere maqtool pe sargarm hain saare munsif
meri laashon ko utha rakh ki main jo hoon so hoon

garm aahon pe hai ilzaam ki hoon shola-nafs
mujh ko phoonkoon se bujha rakh ki main jo hoon so hoon

kyun sahifon mein likha hai ki milega insaaf
lafz-o-maani na juda rakh ki main jo hoon so hoon

teri zambil mein har chaal puraani hai raqeeb
mujh ko apnon se lada rakh ki main jo hoon so hoon

apne virse se tira qabza hatana hai harees
naam dahshat ki bala rakh ki main jo hoon so hoon

main ne aankhon mein jala rakha hai aazaadi ka tel
mat andheron se dara rakh ki main jo hoon so hoon

gar mera haq na milega to bigad jaayegi baat
apne pahluu se laga rakh ki main jo hoon so hoon

karbala rakh ke hatheli pe chala hoon ghar se
bai't-e-zulm hata rakh ki main jo hoon so hoon

jab zameenon mein jaden hain to kidhar jaaunga
meri shaakhen na kata rakh ki main jo hoon so hoon

adl ki mitti mein ugte nahin dahshat ke babool
apni mitti ko safa rakh ki main jo hoon so hoon

band aankhon se siyah-roo nazar aayega anees
chashm-e-beena ko khula rakh ki main jo hoon so hoon

मुझ पे हर ज़ुल्म रवा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ
मुझ को अपने से जुदा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

मैं कि मस्लूब हूँ दे मुझ को भी ज़ालिम का ख़िताब
सुन्नत-ए-ईसा जिला रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

मेरे घर में है जो ग़ासिब तो निकालूँ कि नहीं
मुझ पे इल्ज़ाम-ए-जफ़ा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

तेरे मक़्तूल पे सरगर्म हैं सारे मुंसिफ़
मेरी लाशों को उठा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

गर्म आहों पे है इल्ज़ाम कि हूँ शो'ला-नफ़स
मुझ को फूँकों से बुझा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

क्यूँ सहीफ़ों में लिखा है कि मिलेगा इंसाफ़
लफ़्ज़-ओ-मानी न जुदा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

तेरी ज़म्बील में हर चाल पुरानी है रक़ीब
मुझ को अपनों से लड़ा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

अपने विर्से से तिरा क़ब्ज़ा हटाना है हरीस
नाम दहशत कि बला रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

मैं ने आँखों में जला रखा है आज़ादी का तेल
मत अंधेरों से डरा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

गर मिरा हक़ न मिलेगा तो बिगड़ जाएगी बात
अपने पहलू से लगा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

कर्बला रख के हथेली पे चला हूँ घर से
बैअ'त-ए-ज़ुल्म हटा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

जब ज़मीनों में जड़ें हैं तो किधर जाऊँगा
मेरी शाख़ें न कटा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

अद्ल की मिट्टी में उगते नहीं दहशत के बबूल
अपनी मिट्टी को सफ़ा रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

बंद आँखों से सियह-रू नज़र आएगा 'अनीस'
चश्म-ए-बीना को खुला रख कि मैं जो हूँ सो हूँ

  - Anees Ansari

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anees Ansari

As you were reading Shayari by Anees Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Anees Ansari

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari