baad guzregi qayaamat si tere jaane ke | बाद गुज़रेगी क़यामत सी तेरे जाने के

  - A R Sahil "Aleeg"

baad guzregi qayaamat si tere jaane ke
khoon aankhon se behenge tere deewane ke

jurm to kar chuke ho tum kai harjaane ke
bewafa tum se bichhad kar nahin mar jaane ke

ishq karna tha kiya dil ne chalaai apni
mashware raas na aaye kisi farzaane ke

ho haqeeqat ki khyaalon mein yahi hota hai
kaatta rehta hoon chakkar main sanam-khaane ke

mujhse dekhe hi nahin jaate kisi ke aansu
khwaah apnon ke rahein ya kisi begaane ke

kya zaroori tha tera mujh se jafaa karna hi
aur bhi laakh tariqe the bichhad jaane ke

jinko peene ka saleeka na pilaane ka shooor
ham ko aadaab sikhaayengevo may-khaane ke

ye bahaaron ki fazaaon ka asar hai saahil
jagmaga utthe hain zarrat jo veeraane ke

बाद गुज़रेगी क़यामत सी तेरे जाने के
ख़ून आँखों से बहेंगे तेरे दीवाने के

जुर्म तो कर चुके हो तुम कई हर्जाने के
बेवफ़ा तुम से बिछड़ कर नहीं मर जाने के

इश्क़ करना था किया, दिल ने चलाई अपनी
मशवरे रास न आए किसी फ़रज़ाने के

हो हक़ीक़त कि ख़यालों में, यही होता है
काटता रहता हूँ चक्कर मैं सनम-ख़ाने के

मुझसे देखे ही नहीं जाते किसी के आँसू
ख़्वाह अपनों के रहें या किसी बेगाने के

क्या ज़रूरी था? तेरा मुझ से जफ़ा करना ही
और भी लाख तरीक़े थे, बिछड़ जाने के

जिनको पीने का सलीका न पिलाने का शुऊर
हम को आदाब सिखाएँगेवो मय-ख़ाने के

ये बहारों की फ़ज़ाओं का असर है साहिल
जगमगा उट्ठे हैं ज़र्रात जो वीराने के

  - A R Sahil "Aleeg"

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari