aise khulte hain falak par ye sitaare shab ke
jis tarah phool hon saare ye bahaar-e-shab ke
teri tasveer bana kar tiri zulfon ke liye
ham ne kaaghaz pe kai rang utaare shab ke
vo musavvir jo banata hai sehar ka chehra
us se kehna ki abhi dard ubhaare shab ke
kya kisi shakhs ki hijrat mein jali hain raatein
kyun sharaaron se chamakte hain sitaare shab ke
ye tire hijr ne tohfe mein diye hain ham ko
ye jo ma'soom se rishte hain hamaare shab ke
ek muddat se hamein neend na aayi aashoo
umr ik kaat di ham ne bhi sahaare shab ke
ऐसे खुलते हैं फ़लक पर ये सितारे शब के
जिस तरह फूल हों सारे ये बहार-ए-शब के
तेरी तस्वीर बना कर तिरी ज़ुल्फ़ों के लिए
हम ने काग़ज़ पे कई रंग उतारे शब के
वो मुसव्विर जो बनाता है सहर का चेहरा
उस से कहना कि अभी दर्द उभारे शब के
क्या किसी शख़्स की हिजरत में जली हैं रातें
क्यूँ शरारों से चमकते हैं सितारे शब के
ये तिरे हिज्र ने तोहफ़े में दिए हैं हम को
ये जो मा'सूम से रिश्ते हैं हमारे शब के
एक मुद्दत से हमें नींद न आई 'आशू'
उम्र इक काट दी हम ने भी सहारे शब के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ashu Mishra
our suggestion based on Ashu Mishra
As you were reading Aah Shayari Shayari