muflisi aur ye mazaahir hain nazar ke saamne
saikron sultaan-e-jaabir hain nazar ke saamne
saikron changez o naadir hain nazar ke saamne
ai gham-e-dil kya karoon ai vahshat-e-dil kya karoon
le ke ik changez ke haathon se khanjar tod doon
taaj par us ke damkata hai jo patthar tod doon
koi tode ya na tode main hi badh kar tod doon
ai gham-e-dil kya karoon ai vahshat-e-dil kya karoon
मुफ़्लिसी और ये मज़ाहिर हैं नज़र के सामने
सैकड़ों सुल्तान-ए-जाबिर हैं नज़र के सामने
सैकड़ों चंगेज़ ओ नादिर हैं नज़र के सामने
ऐ ग़म-ए-दिल क्या करूँ ऐ वहशत-ए-दिल क्या करूँ
ले के इक चंगेज़ के हाथों से ख़ंजर तोड़ दूँ
ताज पर उस के दमकता है जो पत्थर तोड़ दूँ
कोई तोड़े या न तोड़े मैं ही बढ़ कर तोड़ दूँ
ऐ ग़म-ए-दिल क्या करूँ ऐ वहशत-ए-दिल क्या करूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Asrar Ul Haq Majaz
our suggestion based on Asrar Ul Haq Majaz
As you were reading Muflisi Shayari Shayari