noor ke jaise bikhar ke dekhta hoon | नूर के जैसे बिख़र के देखता हूँ

  - Avtar Singh Jasser

noor ke jaise bikhar ke dekhta hoon
ishq mein had se guzar ke dekhta hoon

kuchh sukoon haasil mujhe ho jaaye shaayad
sar tere kaandhe pe dhar ke dekhta hoon

sochta hoon khwaab kar luun sab mukammal
aur phir haalaat ghar ke dekhta hoon

yun sitam mujh par kiye hain zindagi ne
khushnuma manzar bhi dar ke dekhta hoon

jeete jee haasil nahin mujh ko hui tu
ab teri khaatir main mar ke dekhta hoon

yaad aata hai mujhe ik gulbadan main
zakham jab bhi is jigar ke dekhta hoon

नूर के जैसे बिख़र के देखता हूँ
इश्क़ में हद से गुज़र के देखता हूँ

कुछ सुकूँ हासिल मुझे हो जाए शायद
सर तेरे काँधे पे धर के देखता हूँ

सोचता हूँ ख़्वाब कर लूँ सब मुकम्मल
और फिर हालात घर के देखता हूँ

यूँ सितम मुझ पर किए हैं ज़िन्दगी ने
ख़ुशनुमा मंज़र भी डर के देखता हूँ

जीते जी हासिल नहीं मुझ को हुई तू
अब तेरी ख़ातिर मैं मर के देखता हूँ

याद आता है मुझे इक गुलबदन, मैं
ज़ख़्म जब भी इस जिगर के देखता हूँ

  - Avtar Singh Jasser

Sukoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Avtar Singh Jasser

As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser

Similar Writers

our suggestion based on Avtar Singh Jasser

Similar Moods

As you were reading Sukoon Shayari Shayari