maan lo saahibo kaha mera | मान लो साहिबो कहा मेरा

  - Babar Rahman Shah

maan lo saahibo kaha mera
kyun ki ibarat hai naqsh-e-paa mera

hai tamannaa mein gharaat o rusva
sher mera kitaabcha mera

ai pari-zaad tere jaane par
ho gaya khud se raabta mera

junglon se mujhe ye nisbat hai
in mein rehta tha aashna mera

aam sa aadmi hoon main saahib
sher hota hai aam sa mera

मान लो साहिबो कहा मेरा
क्यूँ कि इबरत है नक़्श-ए-पा मेरा

है तमन्ना में ग़ारत ओ रुस्वा
शेर मेरा, किताबचा मेरा

ऐ परी-ज़ाद तेरे जाने पर
हो गया ख़ुद से राब्ता मेरा

जंगलों से मुझे ये निस्बत है
इन में रहता था आश्ना मेरा

आम सा आदमी हूँ मैं साहिब
शेर होता है आम सा मेरा

  - Babar Rahman Shah

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Babar Rahman Shah

As you were reading Shayari by Babar Rahman Shah

Similar Writers

our suggestion based on Babar Rahman Shah

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari