tum ko main jab salaam karta hoon
tab fugaan gaam gaam karta hoon
guncha-o-gul ki khasta-haali ka
zikr mein subh-o-shaam karta hoon
be-sutoon kaat kar khada hoon main
kohkan jaise kaam karta hoon
aatish-e-ishq jab jalaati hai
jal ke main nosh-e-jaam karta hoon
sher hota nahin hai jab babar
us ka kuchh ehtimaam karta hoon
तुम को मैं जब सलाम करता हूँ
तब फ़ुग़ाँ गाम गाम करता हूँ
ग़ुंचा-ओ-गुल की ख़स्ता-हाली का
ज़िक्र में सुब्ह-ओ-शाम करता हूँ
बे-सुतूँ काट कर खड़ा हूँ मैं
कोहकन जैसे काम करता हूँ
आतिश-ए-इश्क़ जब जलाती है
जल के मैं नोश-ए-जाम करता हूँ
शेर होता नहीं है जब 'बाबर'
उस का कुछ एहतिमाम करता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Babar Rahman Shah
our suggestion based on Babar Rahman Shah
As you were reading Paani Shayari Shayari