nahin nahin ye mera aks ho nahin saka
kisi ke saamne mein yun to ro nahin saka
thakan se choor hai saara vujood ab mera
main bojh itne ghamon ka to dho nahin saka
tujhe ghazal to sunaata hoon aaj babar ki
magar main ashkon se daaman bhigo nahin saka
नहीं नहीं ये मिरा अक्स हो नहीं सकता
किसी के सामने में यूँ तो रो नहीं सकता
थकन से चूर है सारा वजूद अब मेरा
मैं बोझ इतने ग़मों का तो ढो नहीं सकता
तुझे ग़ज़ल तो सुनाता हूँ आज 'बाबर' की
मगर मैं अश्कों से दामन भिगो नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Babar Rahman Shah
our suggestion based on Babar Rahman Shah
As you were reading Aansoo Shayari Shayari