dastaan-e-gham tujhe batlaayein kya | दास्तान-ए-ग़म तुझे बतलाएँ क्या

  - Babar Rahman Shah

dastaan-e-gham tujhe batlaayein kya
zakham seene ke tujhe dikhlaayen kya

sochte hain bhool jaayen sarzanish
muddaton ki baat ab jatalaayein kya

log us ki baat to sunte nahin
khizr ko jungle se ham bulwaaein kya

roz tum w'ada naya le lete ho
paas in vaadon ka ham rakh paaye kya

muflisi ne jaa-b-jaa lootaa hamein
ab bacha kuchh bhi nahin lutwaaein kya

दास्तान-ए-ग़म तुझे बतलाएँ क्या
ज़ख़्म सीने के तुझे दिखलाएँ क्या

सोचते हैं भूल जाएँ सरज़निश
मुद्दतों की बात अब जतलाएँ क्या

लोग उस की बात तो सुनते नहीं
ख़िज़्र को जंगल से हम बुलवाएँ क्या

रोज़ तुम व'अदा नया ले लेते हो
पास इन वादों का हम रख पाएँ क्या

मुफ़्लिसी ने जा-ब-जा लूटा हमें
अब बचा कुछ भी नहीं लुटवाएँ क्या

  - Babar Rahman Shah

Poverty Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Babar Rahman Shah

As you were reading Shayari by Babar Rahman Shah

Similar Writers

our suggestion based on Babar Rahman Shah

Similar Moods

As you were reading Poverty Shayari Shayari